kisi bachpan mein banai hui kashti jaisa
kisī bachpan meñ banā.ī huī kashtī jaisā
saath terā thā magar dhuup kī narmī jaisā
maiñ musāfir thī ki manzil hī nahīñ thī jis kī
tū mire saath kisī rail kī paTrī jaisā
phuul shāḳhoñ pe koī khil hī nahīñ paayā thā
mausam-e-vasl kisī hijr kī saḳhtī jaisā
saḳhtiyāñ boltī rahtī thiiñ tire lahje meñ
aur mirā dil ye kisī kāñch kī chūḌī jaisā
ham tire va.ade kī zanjīr liye baiThe rahe
jāgtī aañkh meñ ik ḳhvāb thā lorī jaisā
dard in āñkhoñ se dariyā kī tarah niklā hai
'hādia' ham to samajhte the sarābī jaisā
kisi bachpan mein banai hui kashti jaisa
sath tera tha magar dhup ki narmi jaisa
main musafir thi ki manzil hi nahin thi jis ki
tu mere sath kisi rail ki paTri jaisa
phul shaKHon pe koi khil hi nahin paya tha
mausam-e-wasl kisi hijr ki saKHti jaisa
saKHtiyan bolti rahti thin tere lahje mein
aur mera dil ye kisi kanch ki chuDi jaisa
hum tere wade ki zanjir liye baiThe rahe
jagti aankh mein ek KHwab tha lori jaisa
dard in aankhon se dariya ki tarah nikla hai
'hadia' hum to samajhte the sarabi jaisa
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.