kisi bahane bhi dil se alam nahin jata
kisī bahāne bhī dil se alam nahīñ jaatā
ḳhushī to jaane ko aatī hai ġham nahīñ jaatā
kisī ko milnā ho us se to ḳhud hī chal kar jaa.e
ki apne aap kahīñ vo sanam nahīñ jaatā
nishāna us kā hamesha nishāñ pe lagtā hai
go dil ke paar vo tīr-e-sitam nahīñ jaatā
ham apne dā.era-e-kār hī meñ rahte haiñ
nikal ke us se ye bāhar qadam nahīñ jaatā
yahī bahut hai ki qaabū meñ ashk rahte haiñ
ye aur baat ki palkoñ se nam nahīñ jaatā
kisi bahane bhi dil se alam nahin jata
KHushi to jaane ko aati hai gham nahin jata
kisi ko milna ho us se to KHud hi chal kar jae
ki apne aap kahin wo sanam nahin jata
nishana us ka hamesha nishan pe lagta hai
go dil ke par wo tir-e-sitam nahin jata
hum apne daera-e-kar hi mein rahte hain
nikal ke us se ye bahar qadam nahin jata
yahi bahut hai ki qabu mein ashk rahte hain
ye aur baat ki palkon se nam nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.