kisi bargad ka sar-e-rah na ehsan liya
kisī bargad kā sar-e-rāh na ehsān liyā
apnā saaya thā kaḌī dhuup meñ ḳhud taan liyā
bhes badle to bahut ham ne havā ke Dar se
sang-o-dīvār ne har shahr meñ pahchān liyā
log ḳhvāboñ ke darīchoñ meñ chhupe baiThe haiñ
hākim-e-shahr ne har shaḳhs kā īmān liyā
naqd-e-jāñ kufr kī bastī meñ chhupāyā to bahut
sangg-sāroñ ne magar duur se pahchān liyā
sar meñ saudā thā nigāhoñ kā safar lambā thā
ham ne ik shaḳhs ko ghabrā ke ḳhudā maan liyā
jo bhī saaya milā ham chal paḌe pīchhe pīchhe
rāsta ishq meñ ham ne bahut āsān liyā
koī chehre se raqīboñ ke na sarkā.e naqāb
bevafā kaun hai kitnā hai bahut jaan liyā
kisi bargad ka sar-e-rah na ehsan liya
apna saya tha kaDi dhup mein KHud tan liya
bhes badle to bahut hum ne hawa ke Dar se
sang-o-diwar ne har shahr mein pahchan liya
log KHwabon ke darichon mein chhupe baiThe hain
hakim-e-shahr ne har shaKHs ka iman liya
naqd-e-jaan kufr ki basti mein chhupaya to bahut
sangg-saron ne magar dur se pahchan liya
sar mein sauda tha nigahon ka safar lamba tha
hum ne ek shaKHs ko ghabra ke KHuda man liya
jo bhi saya mila hum chal paDe pichhe pichhe
rasta ishq mein hum ne bahut aasan liya
koi chehre se raqibon ke na sarkae naqab
bewafa kaun hai kitna hai bahut jaan liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.