kisi be-ghar jahan ka raaz hona chahiye tha
kisī be-ghar jahāñ kā raaz honā chāhiye thā
hameñ is dasht meñ parvāz honā chāhiye thā
hamāre ḳhuun meñ bhī koī bichhḌī lahar aa.ī
havā ke haath meñ ik saaz honā chāhiye thā
hamāre lā-makāñ chehre meñ ā.īnoñ ke jañgal
hameñ in meñ tirā andāz honā chāhiye thā
yahīñ par ḳhatm honī chāhiye thī ek duniyā
yahīñ se baat kā āġhāz honā chāhiye thā
'riyāz' ab tum ko khulnā chāhiye thā is varaq par
kisī be-ghar jahāñ kā raaz honā chāhiye thā
kisi be-ghar jahan ka raaz hona chahiye tha
hamein is dasht mein parwaz hona chahiye tha
hamare KHun mein bhi koi bichhDi lahar aai
hawa ke hath mein ek saz hona chahiye tha
hamare la-makan chehre mein aainon ke jangal
hamein in mein tera andaz hona chahiye tha
yahin par KHatm honi chahiye thi ek duniya
yahin se baat ka aaghaz hona chahiye tha
'riyaz' ab tum ko khulna chahiye tha is waraq par
kisi be-ghar jahan ka raaz hona chahiye tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.