kisi bhi chaal mein nahin aaya
kisī bhī chaal meñ nahīñ aaya
maiñ tire jaal meñ nahīñ aaya
bas vahī sab se ḳhūbsūrat thā
misra jo taal meñ nahīñ aaya
tū muqaddar meñ aa gayā kaise
tū kabhī faal meñ nahīñ aaya
mujh ko dil meñ basā.iye ki maiñ
luuT ke maal meñ nahīñ aaya
us ko in.aam se navāzā gayā
jo ki pinDāl meñ nahīñ aaya
jis taġhayyur kī thī umiid bahut
vo na.e saal meñ nahīñ aaya
ye bhī mālik kā hai karam 'ābid'
ki maiñ janjāl meñ nahīñ aaya
kisi bhi chaal mein nahin aaya
main tere jal mein nahin aaya
bas wahi sab se KHubsurat tha
misra jo tal mein nahin aaya
tu muqaddar mein aa gaya kaise
tu kabhi fal mein nahin aaya
mujh ko dil mein basaiye ki main
luT ke mal mein nahin aaya
us ko inam se nawaza gaya
jo ki pinDal mein nahin aaya
jis taghayyur ki thi umid bahut
wo nae sal mein nahin aaya
ye bhi malik ka hai karam 'abid'
ki main janjal mein nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.