kisi bhi dar ki sawali nahin rahi hogi
kisī bhī dar kī savālī nahīñ rahī hogī
jhukī jo ishq ke dar par jabīñ rahī hogī
vagarna tark-e-vafā sahl is qadar thā kahāñ
kamī mujhī meñ yaqīnan kahīñ rahī hogī
jo gor-e-aql meñ kī dafn aarzū tum ne
tumhāre dil meñ kabhī jāguzīñ rahī hogī
vo jin ke sar se uThā āsmān kā saaya
kab un ke paañv ke nīche zamīñ rahī hogī
abhī to girya-kunāñ haiñ khañDar kī dīvāreñ
ga.e dinoñ meñ havelī hasīñ rahī hogī
tire jahāñ se nikal kar bhī ham kahāñ nikle
hamārī yaad tirī ham-nashīñ rahī hogī
tabhī to us ne 'tabassum' kī bandagī kī hai
rag-e-gulū se bhī baḌh kar qarīñ rahī hogī
kisi bhi dar ki sawali nahin rahi hogi
jhuki jo ishq ke dar par jabin rahi hogi
wagarna tark-e-wafa sahl is qadar tha kahan
kami mujhi mein yaqinan kahin rahi hogi
jo gor-e-aql mein ki dafn aarzu tum ne
tumhaare dil mein kabhi jaguzin rahi hogi
wo jin ke sar se uTha aasman ka saya
kab un ke panw ke niche zamin rahi hogi
abhi to girya-kunan hain khanDar ki diwaren
gae dinon mein haweli hasin rahi hogi
tere jahan se nikal kar bhi hum kahan nikle
hamari yaad teri ham-nashin rahi hogi
tabhi to us ne 'tabassum' ki bandagi ki hai
rag-e-gulu se bhi baDh kar qarin rahi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.