kisi bhi haal mein mujhse ye samjhauta nahin hoga

kisi bhi haal mein mujhse ye samjhauta nahin hoga
Ratan Kumar Ratan
MORE BYRatan Kumar Ratan
kisī bhī haal meñ mujh se ye samjhautā nahīñ hogā
tire qadmoñ meñ sar rakh duuñ nahīñ aisā nahīñ hogā
ajūbe saat hī jis ko nazar aa.e haiñ duniyā meñ
mirā dā'vā hai us ne aap ko dekhā nahīñ hogā
maiñ kitnā be-ḳhabar thā us se mil ke aaj ye jaanā
mujhe lagtā thā vo dariyā hai vo pyāsā nahīñ hogā
mujhe vā'de pe us ke aaj bhī puurā bharosa hai
vo us ke saath to hogā magar us kā nahīñ hogā
zarā sī baat par jo aa gayā ghar se 'adālat tak
vo samjhauta to ho saktā hai par rishta nahīñ hogā
tum apnī pyaas le kar jis kī chaukhaT se chale aa.e
vo sahrā ho gayā hogā vo ab dariyā nahīñ hogā
badalte vaqt ne sab kuchh badal Daalā 'ratan' dekho
tumheñ ab bhī yahī lagtā hai vo badlā nahīñ hogā
kisi bhi haal mein mujh se ye samjhauta nahin hoga
tere qadmon mein sar rakh dun nahin aisa nahin hoga
ajube sat hi jis ko nazar aae hain duniya mein
mera da'wa hai us ne aap ko dekha nahin hoga
main kitna be-KHabar tha us se mil ke aaj ye jaana
mujhe lagta tha wo dariya hai wo pyasa nahin hoga
mujhe wa'de pe us ke aaj bhi pura bharosa hai
wo us ke sath to hoga magar us ka nahin hoga
zara si baat par jo aa gaya ghar se 'adalat tak
wo samjhauta to ho sakta hai par rishta nahin hoga
tum apni pyas le kar jis ki chaukhaT se chale aae
wo sahra ho gaya hoga wo ab dariya nahin hoga
badalte waqt ne sab kuchh badal Dala 'ratan' dekho
tumhein ab bhi yahi lagta hai wo badla nahin hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.