kisi bhi moD pe roka na gumrahi se mujhe
kisī bhī moḌ pe rokā na gumrahī se mujhe
koī gila bhī nahīñ apnī zindagī se mujhe
sabhoñ se miltā huuñ begāna-e-talab ho kar
na dostī se ġharaz hai na dushmanī se mujhe
safar se pahle zarūrī hai mudda.ā-e-safar
patā chalā ye sitāroñ kī kajravī se mujhe
faqīr-e-shahr to huuñ maiñ gadā-e-rāh nahīñ
karam kī bhiik na de aisī be-ruḳhī se mujhe
mire jilau meñ chalegā samundaroñ kā jalāl
na rok pā.egā koī shanāvarī se mujhe
rah-e-hayāt meñ kāñToñ ne mehrbāñ ho kar
bachā liyā hai azāb-e-shaguftagī se mujhe
kisī se mil ke bichhaḌne kī jab ghaḌī aa.ī
ghaḌī se ho ga.ī nafrat usī ghaḌī se mujhe
añdherī raat meñ dekhā hai mash.aloñ kā julūs
Darā diyā hai siyāsat ne raushnī se mujhe
mirī anā ne sabaq de ke ḳhud-parastī kā
chhuḌā diyā hai zamāne kī bandagī se mujhe
fareb-ḳhurda-e-tahrīk-e-ādmiyyat huuñ
vafā kī aas nahīñ 'ramz' aadmī se mujhe
kisi bhi moD pe roka na gumrahi se mujhe
koi gila bhi nahin apni zindagi se mujhe
sabhon se milta hun begana-e-talab ho kar
na dosti se gharaz hai na dushmani se mujhe
safar se pahle zaruri hai muddaa-e-safar
pata chala ye sitaron ki kajrawi se mujhe
faqir-e-shahr to hun main gada-e-rah nahin
karam ki bhik na de aisi be-ruKHi se mujhe
mere jilau mein chalega samundaron ka jalal
na rok paega koi shanawari se mujhe
rah-e-hayat mein kanTon ne mehrban ho kar
bacha liya hai azab-e-shaguftagi se mujhe
kisi se mil ke bichhaDne ki jab ghaDi aai
ghaDi se ho gai nafrat usi ghaDi se mujhe
andheri raat mein dekha hai mashalon ka julus
Dara diya hai siyasat ne raushni se mujhe
meri ana ne sabaq de ke KHud-parasti ka
chhuDa diya hai zamane ki bandagi se mujhe
fareb-KHurda-e-tahrik-e-admiyyat hun
wafa ki aas nahin 'ramz' aadmi se mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.