kisi bhi qism ki ta۔bir man lete hain
kisī bhī qism kī tā۔bīr maan lete haiñ
jo log ḳhvāb ko jāgīr maan lete haiñ
mirī dalīl ko taqsīr maan lete haiñ
to aap zahr ko iksīr maan lete haiñ
hai bar-binā-e-tasavvur har ek shai kā vajūd
so ham bhī aks ko tasvīr maan lete haiñ
kasīr vaqt asīrī meñ biitā hai so ham
zarā sī aaḌ bhī zanjīr maan lete haiñ
chalā thā chaal salīqe se phir bhī haar gayā
to kyā huā ise taqdīr maan lete haiñ
bas ek pal kī ḳhamoshī se kyā badaltā hai
milegā aise bhī kashmīr maan lete haiñ
jo un kī baat kare jaan ham fidā kar deñ
jo dar dikhā.e use piir maan lete haiñ
ki zulfiqār hī haq par hai us ke saa.e meñ
jo bhī uThe vahī shamshīr maan lete haiñ
sirāt-e-ishq pe 'alvī' na.e na.e haiñ ham
so jānkāroñ kī tadbīr maan lete haiñ
kisi bhi qism ki ta۔bir man lete hain
jo log KHwab ko jagir man lete hain
meri dalil ko taqsir man lete hain
to aap zahr ko iksir man lete hain
hai bar-bina-e-tasawwur har ek shai ka wajud
so hum bhi aks ko taswir man lete hain
kasir waqt asiri mein bita hai so hum
zara si aaD bhi zanjir man lete hain
chala tha chaal saliqe se phir bhi haar gaya
to kya hua ise taqdir man lete hain
bas ek pal ki KHamoshi se kya badalta hai
milega aise bhi kashmir man lete hain
jo un ki baat kare jaan hum fida kar den
jo dar dikhae use pir man lete hain
ki zulfiqar hi haq par hai us ke sae mein
jo bhi uThe wahi shamshir man lete hain
siraat-e-ishq pe 'alwi' nae nae hain hum
so jaankaron ki tadbir man lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.