kisi bhi samt koi dil-kusha manzar nahin milta
kisī bhī samt koī dil-kushā manzar nahīñ miltā
vafā ke shahr meñ ehsās kā paikar nahīñ miltā
ye kaisā aks hai jo aa.ine ke saath rah kar bhī
kabhī bāhar nahīñ rahtā kabhī andar nahīñ miltā
hujūm-e-ġham-gusārāñ yuuñ to hai har gaam par lekin
jise ham DhūñDte haiñ 'nāz' vo aksar nahīñ miltā
kisi bhi samt koi dil-kusha manzar nahin milta
wafa ke shahr mein ehsas ka paikar nahin milta
ye kaisa aks hai jo aaine ke sath rah kar bhi
kabhi bahar nahin rahta kabhi andar nahin milta
hujum-e-gham-gusaran yun to hai har gam par lekin
jise hum DhunDte hain 'naz' wo aksar nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.