kisi bhi shahr ka mausam suhana chhoD dete hain
kisī bhī shahr kā mausam suhānā chhoḌ dete haiñ
garāñ ho jaa.eñ to ham āb-o-dāna chhoḌ dete haiñ
faqat ik bhuul ne maañ baap ko alqat kiyā ghar meñ
ki beTe jab siyāne huuñ kamānā chhoḌ dete haiñ
miyāñ biivī ke rishte e'timādoñ kī amānat haiñ
magar ik aañkh donoñ ġhā.ebāna chhoḌ dete haiñ
unheñ ma.alūm haiñ majbūr jeboñ ke taqāze sab
vo in meñ ḳhūbsūrat sā bahāna chhoḌ dete haiñ
hamārī fāqa-mastī āsmāñ ke peT bhartī hai
ham apne paañv ke nīche ḳhazāna chhoḌ dete haiñ
kisi bhi shahr ka mausam suhana chhoD dete hain
garan ho jaen to hum aab-o-dana chhoD dete hain
faqat ek bhul ne man bap ko alqat kiya ghar mein
ki beTe jab siyane hun kamana chhoD dete hain
miyan biwi ke rishte e'timadon ki amanat hain
magar ek aankh donon ghaebana chhoD dete hain
unhen malum hain majbur jebon ke taqaze sab
wo in mein KHubsurat sa bahana chhoD dete hain
hamari faqa-masti aasman ke peT bharti hai
hum apne panw ke niche KHazana chhoD dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.