kisi bhi shaKHs par kab mehrban the hum
kisī bhī shaḳhs par kab mehrbāñ the ham
ye thā ilzām ke kuchh bad-gumāñ the ham
na likhī hī ga.ī aaheñ na kām-e-dil
tabhī jaanā ke kitne be-kasāñ the ham
tumheñ bhī raah se bhaTkā diyā ham ne
ajī chhoḌo kabhī to rāh-dāñ the ham
vo chaltā saath bhī to kab talak chaltā
vo qissa aur lambī dāstāñ the ham
go mizhgāñ meñ rahe aTke magar phir bhī
tirī āñkhoñ meñ chubhtī kirchiyāñ the ham
mirī ḳhasta mizājī par na jaanā tum
hai ye mālūm tum ko bad-zabāñ the ham
dharā ujlī shafaq meñ nuur thā jis se
gagan par aaj kisht-e-za.afrāñ the ham
kisi bhi shaKHs par kab mehrban the hum
ye tha ilzam ke kuchh bad-guman the hum
na likhi hi gai aahen na kaam-e-dil
tabhi jaana ke kitne be-kasan the hum
tumhein bhi rah se bhaTka diya hum ne
aji chhoDo kabhi to rah-dan the hum
wo chalta sath bhi to kab talak chalta
wo qissa aur lambi dastan the hum
go mizhgan mein rahe aTke magar phir bhi
teri aankhon mein chubhti kirchiyan the hum
meri KHasta mizaji par na jaana tum
hai ye malum tum ko bad-zaban the hum
dhara ujli shafaq mein nur tha jis se
gagan par aaj kisht-e-zafran the hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.