kisi bhi sher mein achchha bura kya
kisī bhī sher meñ achchhā burā kyā
bas itnā dekhiye kis ne kahā kyā
abhī insāñ to ban paa.e nahīñ ho
banoge aadmī se devtā kyā
sitāroñ meñ ye kaisī khalbalī hai
falak par aa gayā sūraj nayā kyā
kitāboñ se use fursat nahīñ thī
vo paḌhtā aap kā chehra bhalā kyā
tumhārī hī tarah ho jā.ūñ ya.anī
badal luuñ maiñ bhī apnā rāsta kyā
taraqqī kar rahā hai mulk be-shak
taraqqī ne ġharīboñ ko diyā kyā
'aman' ham to faqīr-e-ishq Thahre
faqīrī meñ ḳhasāra fā.eda kyā
kisi bhi sher mein achchha bura kya
bas itna dekhiye kis ne kaha kya
abhi insan to ban pae nahin ho
banoge aadmi se dewta kya
sitaron mein ye kaisi khalbali hai
falak par aa gaya suraj naya kya
kitabon se use fursat nahin thi
wo paDhta aap ka chehra bhala kya
tumhaari hi tarah ho jaun yani
badal lun main bhi apna rasta kya
taraqqi kar raha hai mulk be-shak
taraqqi ne gharibon ko diya kya
'aman' hum to faqir-e-ishq Thahre
faqiri mein KHasara faeda kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.