kisi but ka ye dil shaida nahin hai
kisī but kā ye dil shaidā nahīñ hai
hamāre sar meñ ye saudā nahīñ hai
ḳhudā kyā hai ye batlānā kaThin thā
so batlāyā ki vo kyā kyā nahīñ hai
tum īmāñ laao vo rasta saral hai
saral tahqīq kā rasta nahīñ hai
ḳhudā hotā ye maiñ bhī chāhtā huuñ
merā chāhā ḳhudā kartā nahīñ hai
ḳhudā kyā hai ye muusā ne batāyā
sunā.ī detā hai dikhtā nahīñ hai
yahī tārīf hai us kī ki us ko
kisī ne aaj tak dekhā nahīñ hai
ḳhudā ke ishq meñ ho hamd likho
kisī ne bhī tumheñ rokā nahīñ hai
azal se ilm hai īmāñ kā dushman
bahut kuchh jānñā achchhā nahīñ hai
ḳhirad-mandoñ pe is ko chhoḌ pyāre
junūñ ye mas.ala terā nahīñ hai
kisi but ka ye dil shaida nahin hai
hamare sar mein ye sauda nahin hai
KHuda kya hai ye batlana kaThin tha
so batlaya ki wo kya kya nahin hai
tum iman lao wo rasta saral hai
saral tahqiq ka rasta nahin hai
KHuda hota ye main bhi chahta hun
mera chaha KHuda karta nahin hai
KHuda kya hai ye musa ne bataya
sunai deta hai dikhta nahin hai
yahi tarif hai us ki ki us ko
kisi ne aaj tak dekha nahin hai
KHuda ke ishq mein ho hamd likho
kisi ne bhi tumhein roka nahin hai
azal se ilm hai iman ka dushman
bahut kuchh jaanna achchha nahin hai
KHirad-mandon pe is ko chhoD pyare
junun ye masala tera nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.