kisi charagh ki KHwahish na justuju mujhko
kisī charāġh kī ḳhvāhish na justujū mujh ko
maiñ ḳhud meñ jaltā rahūñ ye hai aarzū mujh ko
ye apnā aap sameTā hai maiñ ne mushkil se
bikhar na jā.ūñ kahīñ is tarah na chhū mujh ko
kisī ko fikr nahīñ thī mere sivā terī
vagar na bhuul na jaatī kabhī kī tū mujh ko
salīb-o-nok-e-sināñ shok ḳhud-sarī hai mirā
Darā rahā hai inhīñ se mirā adū mujh ko
diyā thā izn-e-takallum jise kabhī maiñ ne
sikhā rahā hai vo andāz-e-guftugū mujh ko
kisi charagh ki KHwahish na justuju mujh ko
main KHud mein jalta rahun ye hai aarzu mujh ko
ye apna aap sameTa hai main ne mushkil se
bikhar na jaun kahin is tarah na chhu mujh ko
kisi ko fikr nahin thi mere siwa teri
wagar na bhul na jati kabhi ki tu mujh ko
salib-o-nok-e-sinan shok KHud-sari hai mera
Dara raha hai inhin se mera adu mujh ko
diya tha izn-e-takallum jise kabhi main ne
sikha raha hai wo andaz-e-guftugu mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.