kisi charagh ki surat kisi dua ki tarah
kisī charāġh kī sūrat kisī duā kī tarah
hameñ aziiz hai vo harf-e-mudda.ā kī tarah
mileñ to kaise mileñ us se ham charāġh-numā
jo zo'm sar meñ rakkhe sar-phirī havā kī tarah
kuchh aise log jinheñ bolne kā shauq rahā
paḌe haiñ ghar meñ vo ab ek be-sadā kī tarah
koī to ho jo mire habs se nikāle mujhe
koī to ho jo mujhe bhī lage sabā kī tarah
ḳhudā hai ek ye 'iqrār' hai so ai duniyā
ḳhudā ko ham nahīñ kahte kisī ḳhudā kī tarah
kisi charagh ki surat kisi dua ki tarah
hamein aziz hai wo harf-e-muddaa ki tarah
milen to kaise milen us se hum charagh-numa
jo zo'm sar mein rakkhe sar-phiri hawa ki tarah
kuchh aise log jinhen bolne ka shauq raha
paDe hain ghar mein wo ab ek be-sada ki tarah
koi to ho jo mere habs se nikale mujhe
koi to ho jo mujhe bhi lage saba ki tarah
KHuda hai ek ye 'iqrar' hai so ai duniya
KHuda ko hum nahin kahte kisi KHuda ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.