kisi chashm-e-hunar ki pasbani mein nahin rahna
kisi chashm-e-hunar ki pasbani mein nahin rahna
Qamar Raza Shahzad
MORE BYQamar Raza Shahzad
kisī chashm-e-hunar kī pāsbānī meñ nahīñ rahnā
sitāre ko ziyāda der paanī meñ nahīñ rahnā
ye miTTī kyuuñ mire qadmoñ se lipTī hai ki jab maiñ ne
hamesha ke liye duniyā-e-fānī meñ nahīñ rahnā
kahīñ is dāstāñ meñ ek aisā moḌ aa.egā
jahāñ kirdār ne apnī kahānī meñ nahīñ rahnā
tujhe hamrāh to rakh lūñgā maiñ lekin dil-e-sāda
tirī bābat ziyāda ḳhush-gumānī meñ nahīñ rahnā
mujhe ik aisī duniyā bhī basānī hai jahāñ 'shahzād'
kisī ko bhī kisī kī hukmarānī meñ nahīñ rahnā
kisi chashm-e-hunar ki pasbani mein nahin rahna
sitare ko ziyaada der pani mein nahin rahna
ye miTTi kyun mere qadmon se lipTi hai ki jab main ne
hamesha ke liye duniya-e-fani mein nahin rahna
kahin is dastan mein ek aisa moD aaega
jahan kirdar ne apni kahani mein nahin rahna
tujhe hamrah to rakh lunga main lekin dil-e-sada
teri babat ziyaada KHush-gumani mein nahin rahna
mujhe ek aisi duniya bhi basani hai jahan 'shahzad'
kisi ko bhi kisi ki hukmarani mein nahin rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.