kisi dar pe jaane ko ji chahta hai
kisi dar pe jaane ko ji chahta hai
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
kisī dar pe jaane ko jī chāhtā hai
vafā āzmāne ko jī chāhtā hai
uThāyā thā jis bazm se ham ko ik din
vahīñ phir bhī jaane ko jī chāhtā hai
hue mundamil zaḳhm-e-dil mere lekin
na.e zaḳhm khāne ko jī chāhtā hai
ma.āl-e-mohabbat samajhtā huuñ phir bhī
kahīñ dil lagāne ko jī chāhtā hai
haiñ kaise maze ke tire jhūTe va.ade
ki phir dhoka khāne ko jī chāhtā hai
vo phir aaj kuchh ham se rūThe hue haiñ
unheñ phir manāne ko jī chāhtā hai
hai muddat se suunī mire dil kī mahfil
tumhīñ se sajāne ko jī chāhtā hai
jo raushan haiñ mahfil meñ aql-o-ḳhirad se
vo sham.eñ bujhāne ko jī chāhtā hai
jo so.e hue dil meñ halchal machā de
vo tūfāñ uThāne ko jī chāhtā hai
'habīb' aag bhar deñ jo siine meñ sab ke
vo naġhme sunāne ko jī chāhtā hai
kisi dar pe jaane ko ji chahta hai
wafa aazmane ko ji chahta hai
uThaya tha jis bazm se hum ko ek din
wahin phir bhi jaane ko ji chahta hai
hue mundamil zaKHm-e-dil mere lekin
nae zaKHm khane ko ji chahta hai
maal-e-mohabbat samajhta hun phir bhi
kahin dil lagane ko ji chahta hai
hain kaise maze ke tere jhuTe wade
ki phir dhoka khane ko ji chahta hai
wo phir aaj kuchh hum se ruThe hue hain
unhen phir manane ko ji chahta hai
hai muddat se suni mere dil ki mahfil
tumhin se sajaane ko ji chahta hai
jo raushan hain mahfil mein aql-o-KHirad se
wo shamen bujhane ko ji chahta hai
jo soe hue dil mein halchal macha de
wo tufan uThane ko ji chahta hai
'habib' aag bhar den jo sine mein sab ke
wo naghme sunane ko ji chahta hai
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 63)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.