kisi dard-mand ki hun sada kisi dil-jale ki pukar hun
kisī dard-mañd kī huuñ sadā kisī dil-jale kī pukār huuñ
jo bigaḌ gayā vo nasīb huuñ jo ujaḌ ga.ī vo bahār huuñ
koī mujh pe phuul chaḌhā.e kyuuñ koī mujh pe sham.a jalā.e kyuuñ
koī mere paas bhī aa.e kyuuñ ki maiñ hasratoñ kā mazār huuñ
bhalā mujh pe Dhā.eñ to Dhā.eñ kyā sitam ab zamāne kī āñdhiyāñ
maiñ bujhā huā sā charāġh huuñ maiñ miTā huā sā ġhubār huuñ
kahūñ kyā hai kyā mirī zindagī ye hai zindagī koī zindagī
vo hai dushman-e-dil-o-jāñ mirā dil-o-jāñ se jis pe nisār huuñ
shab-o-roz lab pe hai ai 'vafā' ye duā ki maut hī de ḳhudā
jo yahī hai mere nasīb meñ ki asīr-e-dām-e-balā rahūñ
kisi dard-mand ki hun sada kisi dil-jale ki pukar hun
jo bigaD gaya wo nasib hun jo ujaD gai wo bahaar hun
koi mujh pe phul chaDhae kyun koi mujh pe shama jalae kyun
koi mere pas bhi aae kyun ki main hasraton ka mazar hun
bhala mujh pe Dhaen to Dhaen kya sitam ab zamane ki aandhiyan
main bujha hua sa charagh hun main miTa hua sa ghubar hun
kahun kya hai kya meri zindagi ye hai zindagi koi zindagi
wo hai dushman-e-dil-o-jaan mera dil-o-jaan se jis pe nisar hun
shab-o-roz lab pe hai ai 'wafa' ye dua ki maut hi de KHuda
jo yahi hai mere nasib mein ki asir-e-dam-e-bala rahun
- Book : Sang-e-meel (Pg. 74)
- Author : mela Ram ‘vfaa’
- Publication : Darpan Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.