kisi dayar kisi dasht mein saba le chal
kisī dayār kisī dasht meñ sabā le chal
kahīñ qayām na kar mujh ko jā-ba-jā le chal
maiñ apnī āñkheñ bhī rakh aa.uuñ us kī chaukhaT par
ye saare ḳhvāb mire aur rat-jagā le chal
maiñ apnī raakh uḌā.ūñgā jal bujhūñgā vahīñ
mujhe bhī us kī galī meñ zarā havā le chal
hatheliyoñ kī lakīroñ meñ us kā chehrā hai
ye mere haath liye jā mirī duā le chal
badan kī ḳhaak in āñkhoñ kī ik amānat hai
qadam uTheñ na uTheñ zindagī sambhāle chal
kisi dayar kisi dasht mein saba le chal
kahin qayam na kar mujh ko ja-ba-ja le chal
main apni aankhen bhi rakh aaun us ki chaukhaT par
ye sare KHwab mere aur rat-jaga le chal
main apni rakh uDaunga jal bujhunga wahin
mujhe bhi us ki gali mein zara hawa le chal
hatheliyon ki lakiron mein us ka chehra hai
ye mere hath liye ja meri dua le chal
badan ki KHak in aankhon ki ek amanat hai
qadam uThen na uThen zindagi sambhaale chal
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 243)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.