kisi din dagh-e-gumrahi rahega un ke sar ho kar
kisī din dāġh-e-gumrāhī rahegā un ke sar ho kar
jo apnī raah chalte haiñ hamāre rāhbar ho kar
bizā.at kyā rahegī masraf-e-naqd-o-nazar ho kar
ġhanīmat hai jo koī aib rah jaa.e hunar ho kar
na.ī qaideñ baḌhīñ minnat-guzār-e-bāl-o-par ho kar
davā-e-dard-e-dil aa.ī azāb-e-dard-e-sar ho kar
sukūñ hāsil hai mujh ko bandagī meñ bhī mohabbat kī
tumheñ rāhat nahīñ miltī ḳhudā-e-sīm-o-zar ho kar
hazāroñ qahqahoñ meñ gum na ho jaa.e sadā merī
akelā kyā karūñ insāniyat par nauhagar ho kar
vo kyā jāneñ ki tevar aur haiñ ab jazba-e-dil ke
ye samjhe haiñ ki rah jā.egā kuchh din shor shar ho kar
diyā kartā hai insāñ apne dil ko bhī fareb aisā
ḳhabar sab kuchh hai aur baiThe hue ho be-ḳhabar ho kar
na pūchho dahr meñ kuchlī ga.ī hai zindagī kitnī
kahīñ be-dast-o-pā ho kar kahīñ be-bāl-o-par ho kar
kabhī azm-e-amal kī tāqatoñ meñ ḳham nahīñ aaya
dikhā.ī aañkh duniyā ne bahut zer-o-zabar ho kar
ḳhudā ma.alūm dil se kyā javāb-e-talḳh miltā hai
mohabbat kā payām aaya hai mahrūm-e-asar ho kar
nazar aa.e hamesha aib auroñ ke hunar apne
nigāhoñ ne daġhā dī ārif-e-aib-o-hunar ho kar
dil-e-pur-dard ko be-dard duniyā kyā samajhtī hai
sahegā vaar tanhā amn-e-ālam kī sipar ho kar
zamāna ho chukā bātil kī afsāna-tarāzī kā
haqīqat rang laa.ī hai navā-e-kārgar ho kar
ajal hogī vo kaisī jiine vaale sochte hoñge
ajal ko DhūñDhtā huuñ zindagī se bahra-var ho kar
na azm-e-āhanī thā jin kī qismat meñ na manzil thī
paḌe haiñ rahguzar par kushtagān-e-sīm-o-zar ho kar
harīfoñ ko mubārak ho barā.e-nām āzādī
ye aa.ī hai unhīñ ke ghar hayāt-e-muḳhtasar ho kar
hunar-mandoñ kā aapas meñ hasad ai 'najm' kyā ma.anī
hunar se dushmanī rakhte haiñ ye ahl-e-hunar ho kar
kisi din dagh-e-gumrahi rahega un ke sar ho kar
jo apni rah chalte hain hamare rahbar ho kar
bizaat kya rahegi masraf-e-naqd-o-nazar ho kar
ghanimat hai jo koi aib rah jae hunar ho kar
nai qaiden baDhin minnat-guzar-e-baal-o-par ho kar
dawa-e-dard-e-dil aai azab-e-dard-e-sar ho kar
sukun hasil hai mujh ko bandagi mein bhi mohabbat ki
tumhein rahat nahin milti KHuda-e-sim-o-zar ho kar
hazaron qahqahon mein gum na ho jae sada meri
akela kya karun insaniyat par nauhagar ho kar
wo kya jaanen ki tewar aur hain ab jazba-e-dil ke
ye samjhe hain ki rah jaega kuchh din shor shar ho kar
diya karta hai insan apne dil ko bhi fareb aisa
KHabar sab kuchh hai aur baiThe hue ho be-KHabar ho kar
na puchho dahr mein kuchli gai hai zindagi kitni
kahin be-dast-o-pa ho kar kahin be-baal-o-par ho kar
kabhi azm-e-amal ki taqaton mein KHam nahin aaya
dikhai aankh duniya ne bahut zer-o-zabar ho kar
KHuda malum dil se kya jawab-e-talKH milta hai
mohabbat ka payam aaya hai mahrum-e-asar ho kar
nazar aae hamesha aib auron ke hunar apne
nigahon ne dagha di aarif-e-aib-o-hunar ho kar
dil-e-pur-dard ko be-dard duniya kya samajhti hai
sahega war tanha amn-e-alam ki sipar ho kar
zamana ho chuka baatil ki afsana-taraazi ka
haqiqat rang lai hai nawa-e-kargar ho kar
ajal hogi wo kaisi jine wale sochte honge
ajal ko DhunDhta hun zindagi se bahra-war ho kar
na azm-e-ahani tha jin ki qismat mein na manzil thi
paDe hain rahguzar par kushtagan-e-sim-o-zar ho kar
harifon ko mubarak ho barae-nam aazadi
ye aai hai unhin ke ghar hayat-e-muKHtasar ho kar
hunar-mandon ka aapas mein hasad ai 'najm' kya mani
hunar se dushmani rakhte hain ye ahl-e-hunar ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.