kisi din ghar mere aaya to hota
kisī din ghar mire aaya to hotā
talattuf mujh pe farmāyā to hotā
zarā zulfoñ ko dikhlāyā to hotā
balā sar par mire laayā to hotā
ayādat ko agar aaya nahīñ vo
janāze par mire aaya to hotā
gul-e-ḳhūbī chaman meñ muskurā kar
zarā ġhunche ko sharmāyā to hotā
bulā kar kaan kī bijlī ko apne
kabhī bijlī ko chamkāyā to hotā
vafā par bhī jafā.eñ kar rahā hai
are zālim tū pachhtāyā to hotā
gulistāñ meñ kisī din dil pe bulbul
mire mānind gul khāyā to hotā
mire lāshe ko ai rashk-e-masīhā
zarā qum kah ke Thukrāyā to hotā
tire ‘ḳhanjar’ se qātil mere mānind
kisī ne sar ko kaTvāyā to hotā
kisi din ghar mere aaya to hota
talattuf mujh pe farmaya to hota
zara zulfon ko dikhlaya to hota
bala sar par mere laya to hota
ayaadat ko agar aaya nahin wo
janaze par mere aaya to hota
gul-e-KHubi chaman mein muskura kar
zara ghunche ko sharmaya to hota
bula kar kan ki bijli ko apne
kabhi bijli ko chamkaya to hota
wafa par bhi jafaen kar raha hai
are zalim tu pachhtaya to hota
gulistan mein kisi din dil pe bulbul
mere manind gul khaya to hota
mere lashe ko ai rashk-e-masiha
zara qum kah ke Thukraya to hota
tere ‘KHanjar’ se qatil mere manind
kisi ne sar ko kaTwaya to hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.