kisi din mujhe bhiD mein tum milogi
kisī din mujhe bhiiḌ meñ tum milogī
hai ḳhvāhish ke le kar tabassum milogī
nayā pyaar milte hī kyoñ chhoḌā mujh ko
isī dard-e-furqat meñ gum-sum milogī
nikālī jin āñkhoñ se tasvīr merī
basā.e unhī meñ talātum milogī
ga.ī to thiiñ ḳhāmosh rātoñ sī ho kar
sabā jaisī kartī takallum milogī
ġhazal hijr kī bar-zabāñ aa.ī 'mūsā'
ye ḳhvāhish hai le kar tabassum milogī
kisi din mujhe bhiD mein tum milogi
hai KHwahish ke le kar tabassum milogi
naya pyar milte hi kyon chhoDa mujh ko
isi dard-e-furqat mein gum-sum milogi
nikali jin aankhon se taswir meri
basae unhi mein talatum milogi
gai to thin KHamosh raaton si ho kar
saba jaisi karti takallum milogi
ghazal hijr ki bar-zaban aai 'musa'
ye KHwahish hai le kar tabassum milogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.