kisi ghar ka bahut nuqsan hota hai
kisī ghar kā bahut nuqsān hotā hai
to daulat-mand kā sāmān hotā hai
darūn-e-dil agar īmān hotā hai
to phir jiinā baḌā āsān hotā hai
hathelī par jo sar rakkhe laḌā.ī meñ
usī kī jiit kā imkān hotā hai
badan kā bojh ham Dhote hī rahte haiñ
mareñ to ġhair kā ehsān hotā hai
pate kī baat kah saktā hai vo pāgal
koī hushiyār bhī anjān hotā hai
ġharībī haath par rakhtī hai khāne ko
amīroñ kā hī dastar-ḳhvān hotā hai
'asad' aa jā ki ham ko chain aa jaa.e
ye ghar tere binā sunsān hotā hai
kisi ghar ka bahut nuqsan hota hai
to daulat-mand ka saman hota hai
darun-e-dil agar iman hota hai
to phir jina baDa aasan hota hai
hatheli par jo sar rakkhe laDai mein
usi ki jit ka imkan hota hai
badan ka bojh hum Dhote hi rahte hain
maren to ghair ka ehsan hota hai
pate ki baat kah sakta hai wo pagal
koi hushiyar bhi anjaan hota hai
gharibi hath par rakhti hai khane ko
amiron ka hi dastar-KHwan hota hai
'asad' aa ja ki hum ko chain aa jae
ye ghar tere bina sunsan hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.