kisi gum-karda-e-manzil ne hi pahre pe rakkhi hai
kisi gum-karda-e-manzil ne hi pahre pe rakkhi hai
Charan Singh Bashar
MORE BYCharan Singh Bashar
kisī gum-karda-e-manzil ne hī pahre pe rakkhī hai
vo ik zinda lahū kī buuñd jo kāñTe pe rakkhī hai
jo qātil haiñ vo sab mahfūz haiñ apne Thikānoñ meñ
magar ik be-sahārā laash chaurāhe pe rakkhī hai
mire zaḳhmoñ ko marham kī tamanna tum se kyā hogī
ki tum ne pyaar kī buniyād hī badle meñ rakkhī hai
gharoñ kī aag ham se bujh nahīñ saktī magar ḳhush haiñ
ki ham ne saarī zimmedārī hamsā.e pe rakkhī hai
kisi gum-karda-e-manzil ne hi pahre pe rakkhi hai
wo ek zinda lahu ki bund jo kanTe pe rakkhi hai
jo qatil hain wo sab mahfuz hain apne Thikanon mein
magar ek be-sahaara lash chaurahe pe rakkhi hai
mere zaKHmon ko marham ki tamanna tum se kya hogi
ki tum ne pyar ki buniyaad hi badle mein rakkhi hai
gharon ki aag hum se bujh nahin sakti magar KHush hain
ki hum ne sari zimmedari hamsae pe rakkhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.