kisi gunge ka KHwab ho jaise
kisī gūñge kā ḳhvāb ho jaise
terā milnā habāb ho jaise
terā chehra habāb ho jaise
ik muqaddas kitāb ho jaise
log yuuñ terā naam lete haiñ
koī kār-e-savāb ho jaise
hañstā rahtā hai ġham kī dhuup meñ bhī
vo shagufta gulāb ho jaise
har ghaḌī ehtirām vājib hai
ġham bhī izzat-ma.āb ho jaise
maiñ akelā huuñ aaj phir 'zāhid'
mez par ik kitāb ho jaise
kisi gunge ka KHwab ho jaise
tera milna habab ho jaise
tera chehra habab ho jaise
ek muqaddas kitab ho jaise
log yun tera nam lete hain
koi kar-e-sawab ho jaise
hansta rahta hai gham ki dhup mein bhi
wo shagufta gulab ho jaise
har ghaDi ehtiram wajib hai
gham bhi izzat-maab ho jaise
main akela hun aaj phir 'zahid'
mez par ek kitab ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.