kisi hijr ka kisi qurb ka koi silsila jo guzar gaya
kisī hijr kā kisī qurb kā koī silsila jo guzar gayā
mirī manziloñ kī naved thā vahī rāsta jo guzar gayā
kise vaqt thā jise dekh kar koī sochtā koī pūchhtā
vahī ek chhoTā sā sāniha pas-e-vāqi'a jo guzar gayā
vahī asl matn-e-hayāt thā vahī lafz rūh-e-sabāt thā
kisī sarsarī sī nigāh se mirā hāshiya jo guzar gayā
jahāñ rahbarī ke kamāl meñ ka.ī naam the mire salf ke
maiñ usī kā gard-o-ġhubār huuñ vahī qāfila jo guzar gayā
na basāratoñ ko jagā sakā na samā’atoñ meñ samā sakā
kisī zindagī kā ma.aal thā vahī hādisa jo guzar gayā
jo khiñchā thā jaañ ke ḳhutūt se jo muhīt thā mirī zaat par
vo ḳhayāl kā mirī soch kā koī zāviya jo guzar gayā
kisi hijr ka kisi qurb ka koi silsila jo guzar gaya
meri manzilon ki nawed tha wahi rasta jo guzar gaya
kise waqt tha jise dekh kar koi sochta koi puchhta
wahi ek chhoTa sa saniha pas-e-waqi'a jo guzar gaya
wahi asl matn-e-hayat tha wahi lafz ruh-e-sabaat tha
kisi sarsari si nigah se mera hashiya jo guzar gaya
jahan rahbari ke kamal mein kai nam the mere salf ke
main usi ka gard-o-ghubar hun wahi qafila jo guzar gaya
na basaraton ko jaga saka na sama’aton mein sama saka
kisi zindagi ka maal tha wahi hadisa jo guzar gaya
jo khincha tha jaan ke KHutut se jo muhit tha meri zat par
wo KHayal ka meri soch ka koi zawiya jo guzar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.