kisi ishq-o-rizq ke jal mein nahin aaega
kisī ishq-o-rizq ke jaal meñ nahīñ aa.egā
ye faqīr ab tirī chaal meñ nahīñ aa.egā
maiñ manā to lūñgā use magar vo anā-parast
mirī samt ab kisī haal meñ nahīñ aa.egā
maiñ kahūñgā harf-e-talab kuchh aise kamāl se
mirā dard mere savāl meñ nahīñ aa.egā
kabhī apnī ek jhalak mujhe bhī navāz de
koī farq tere jamāl meñ nahīñ aa.egā
yahī mehnatoñ kā sila rahā to phir ai ḳhudā
mujhe lutf-e-rizq-e-halāl nahīñ aa.egā
kisi ishq-o-rizq ke jal mein nahin aaega
ye faqir ab teri chaal mein nahin aaega
main mana to lunga use magar wo ana-parast
meri samt ab kisi haal mein nahin aaega
main kahunga harf-e-talab kuchh aise kamal se
mera dard mere sawal mein nahin aaega
kabhi apni ek jhalak mujhe bhi nawaz de
koi farq tere jamal mein nahin aaega
yahi mehnaton ka sila raha to phir ai KHuda
mujhe lutf-e-rizq-e-halal nahin aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.