kisi jawab ki mohlat nahin mili mujhko
kisī javāb kī mohlat nahīñ milī mujh ko
burā na maan suhūlat nahīñ milī mujh ko
isī sukūn ne aadat bigāḌ dī merī
bahut dinoñ se aziyyat nahīñ milī mujh ko
kisī se apne ta.alluq ko ġhaur se dekhā
kisī tarah kī himāqat nahīñ milī mujh ko
meñ is mizāj ke dariyā se ḳhuub vāqif thī
tabhī to pyaas kī shiddat nahīñ milī mujh ko
guzishta raat koī ḳhvāb mar gayā merā
maiñ DhūñDhtī rahī mayyat nahīñ milī mujh ko
jo ab milī hai hamesha rahegī saath mire
vo aarzī thī jo vahshat nahīñ milī mujh ko
kisi jawab ki mohlat nahin mili mujh ko
bura na man suhulat nahin mili mujh ko
isi sukun ne aadat bigaD di meri
bahut dinon se aziyyat nahin mili mujh ko
kisi se apne talluq ko ghaur se dekha
kisi tarah ki himaqat nahin mili mujh ko
mein is mizaj ke dariya se KHub waqif thi
tabhi to pyas ki shiddat nahin mili mujh ko
guzishta raat koi KHwab mar gaya mera
main DhunDhti rahi mayyat nahin mili mujh ko
jo ab mili hai hamesha rahegi sath mere
wo aarzi thi jo wahshat nahin mili mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.