kisi ka aahang kaif-za hai kisi ka lahja gulu-girafta
kisī kā āhang kaif-zā hai kisī kā lahja gulū-girafta
ba-qadr-e-irfān zindagī hai har ek dil ārzū-girafta
ye kaisī tasvīr-e-zindagī hai jo safha-e-dahr par khiñchī hai
sitam kā ḳhanjar hai zer-e-dāmāñ to āstīñ hai lahū-girafta
musāfir-e-kū-ba-kū kā yaaro nahīñ koī mustaqil Thikāna
hayāt hai aarzū kī maarī mazāq hai justujū-girafta
kisī kī duniyā ujaḌ chukī hai nasīb ko ro rahā hai koī
kisī kā gulshan harā bharā hai koī hai zauq-e-numū-girafta
libās-andar-libās rah kar nazar meñ jo be-libās Thahre
badan churā.e to kis tarah se vo mahvash-e-ābrū-girafta
kabhī bhī is par ḳhizāñ kā saaya na paḌ sakā hai na paḌ sakegā
ġhazal vo bāġh-e-suḳhan hai jis kī bahār hai rang-o-bū-girafta
nigāh-e-sāqī kī ek jumbish hai laakh taskīn-e-dil kā sāmāñ
'sabā' vo ehsās-e-tishnagī hai kabhī na ho jo subū-girafta
kisi ka aahang kaif-za hai kisi ka lahja gulu-girafta
ba-qadr-e-irfan zindagi hai har ek dil aarzu-girafta
ye kaisi taswir-e-zindagi hai jo safha-e-dahr par khinchi hai
sitam ka KHanjar hai zer-e-daman to aastin hai lahu-girafta
musafir-e-ku-ba-ku ka yaro nahin koi mustaqil Thikana
hayat hai aarzu ki mari mazaq hai justuju-girafta
kisi ki duniya ujaD chuki hai nasib ko ro raha hai koi
kisi ka gulshan hara bhara hai koi hai zauq-e-numu-girafta
libas-andar-libas rah kar nazar mein jo be-libas Thahre
badan churae to kis tarah se wo mahwash-e-abru-girafta
kabhi bhi is par KHizan ka saya na paD saka hai na paD sakega
ghazal wo bagh-e-suKHan hai jis ki bahaar hai rang-o-bu-girafta
nigah-e-saqi ki ek jumbish hai lakh taskin-e-dil ka saman
'saba' wo ehsas-e-tishnagi hai kabhi na ho jo subu-girafta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.