kisi ka hath daman par kisi ka sar gareban mein
kisi ka hath daman par kisi ka sar gareban mein
Qaisar Haideri Dehlvi
MORE BYQaisar Haideri Dehlvi
kisī kā haath dāman par kisī kā sar garebāñ meñ
ye dīvāne bhī gul-chharre uḌāte haiñ bayābāñ meñ
samā kar rah gayā har un kā jalva qalb-e-sozāñ meñ
kahāñ se itnī vus.at aa ga.ī is tañg-dāmāñ meñ
salīqa ḳhaak uḌāne kā baḌī mushkil se aatā hai
bagūle sar paTak kar rah ga.e āḳhir bayābāñ meñ
hañsī kaliyoñ ke lab par hai qabā-e-gul ke TukḌe haiñ
sabhī par chhā ga.ī dīvāngī ab ke gulistāñ meñ
qarīb aayā zamāna jab bhī ahd-e-gul kī ruḳhsat kā
ulajh kar rah gayā dast-e-junūñ tār-e-garebāñ meñ
suvaidā but-kada hai dil haram nazreñ pujārī haiñ
yahāñ tafrīq bhī kuchh hai to ye hai kufr-o-īmāñ meñ
iqāmat ke liye kyā vus.at-e-kaunain kuchh kam thī
abas añgḌā.ī lī tum ne dil-e-nazzāra-sāmāñ meñ
jo āñkhoñ se lagā.e gul to kāñTe rakh liye dil meñ
mujhe donoñ hī se 'qaisar' ilāqa thā gulistāñ meñ
kisi ka hath daman par kisi ka sar gareban mein
ye diwane bhi gul-chharre uDate hain bayaban mein
sama kar rah gaya har un ka jalwa qalb-e-sozan mein
kahan se itni wusat aa gai is tang-daman mein
saliqa KHak uDane ka baDi mushkil se aata hai
bagule sar paTak kar rah gae aaKHir bayaban mein
hansi kaliyon ke lab par hai qaba-e-gul ke TukDe hain
sabhi par chha gai diwangi ab ke gulistan mein
qarib aaya zamana jab bhi ahd-e-gul ki ruKHsat ka
ulajh kar rah gaya dast-e-junun tar-e-gareban mein
suwaida but-kada hai dil haram nazren pujari hain
yahan tafriq bhi kuchh hai to ye hai kufr-o-iman mein
iqamat ke liye kya wusat-e-kaunain kuchh kam thi
abas angDai li tum ne dil-e-nazzara-saman mein
jo aankhon se lagae gul to kanTe rakh liye dil mein
mujhe donon hi se 'qaisar' ilaqa tha gulistan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.