kisi ka jhuTa kisi ka sachcha KHayal laDki
kisī kā jhūTā kisī kā sachchā ḳhayāl laḌkī
tumhīñ ho yā'nī ki vaj.h-e-hijr-o-visāl laḌkī
hai 'ishq tum se yahī kahā hai yahī kaheñge
jo bārhā bhī karogī ham se savāl laḌkī
paḌe haiñ phīke ye chāñd taare bhī is ke aage
kahāñ se laa.ī ho tum ye husn-o-jamāl laḌkī
hai raah mushkil tumheñ magar hārnā nahīñ hai
yaqīn jaano banogī ik din misāl laḌkī
bulandiyoñ par zarā takabbur se duur rahnā
vagarna ye hī banegā vaj.h-e-zavāl laḌkī
tumheñ patā hai hamāre dil meñ tumhāre jaisī
tavīl 'arse se rahtī hai ik ġhazāl laḌkī
agar kabhī ham bichhaḌ ga.e to tumheñ bhī hogā
batāo nā kyā koī bhī ġham yā malāl laḌkī
'asad' ne tum par ġhazal mukammal utaar to dī
ye dekh lenā ki ho na jaa.e vabāl laḌkī
kisi ka jhuTa kisi ka sachcha KHayal laDki
tumhin ho ya'ni ki wajh-e-hijr-o-visal laDki
hai 'ishq tum se yahi kaha hai yahi kahenge
jo barha bhi karogi hum se sawal laDki
paDe hain phike ye chand tare bhi is ke aage
kahan se lai ho tum ye husn-o-jamal laDki
hai rah mushkil tumhein magar haarna nahin hai
yaqin jaano banogi ek din misal laDki
bulandiyon par zara takabbur se dur rahna
wagarna ye hi banega wajh-e-zawal laDki
tumhein pata hai hamare dil mein tumhaare jaisi
tawil 'arse se rahti hai ek ghazal laDki
agar kabhi hum bichhaD gae to tumhein bhi hoga
batao na kya koi bhi gham ya malal laDki
'asad' ne tum par ghazal mukammal utar to di
ye dekh lena ki ho na jae wabaal laDki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.