kisi ka jo aaina nahin hai
kisī kā jo aa.ina nahīñ hai
kabhī vo ḳhud se milā nahīñ hai
idhar-udhar se nazar milā.e
kahīñ kisī ko pata nahīñ hai
basā liyā 'ishq dil meñ apne
kisī se ye sab chhupā nahīñ hai
karegī apnā asar davā bhī
binā du'ā fā.eda nahīñ hai
raqīb kā ġham nasīb meñ thā
tabhī to vo bevafā nahīñ hai
havā chalī jo ḳhilāf mere
Digā sake hausla nahīñ hai
sagā nahīñ yuuñ milā kahīñ pe
chalo ye bhī mas.ala nahīñ hai
kisi ka jo aaina nahin hai
kabhi wo KHud se mila nahin hai
idhar-udhar se nazar milae
kahin kisi ko pata nahin hai
basa liya 'ishq dil mein apne
kisi se ye sab chhupa nahin hai
karegi apna asar dawa bhi
bina du'a faeda nahin hai
raqib ka gham nasib mein tha
tabhi to wo bewafa nahin hai
hawa chali jo KHilaf mere
Diga sake hausla nahin hai
saga nahin yun mila kahin pe
chalo ye bhi masala nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.