kisi ka KHwab kisi ka qayas hai duniya
kisī kā ḳhvāb kisī kā qayās hai duniyā
mire aziiz yahāñ kis ke paas hai duniyā
ye ḳhuun aur pasīne kī bū nahīñ jaatī
na jaane kis ke badan kā libās hai duniyā
hamāre halq se ik ghūñT bhī nahīñ utrī
bas ek aur hī duniyā kī pyaas hai duniyā
mire qalam kī siyāhī kā ek qatra hai
mirī kitāb se ik iqtibās hai duniyā
kisi ka KHwab kisi ka qayas hai duniya
mere aziz yahan kis ke pas hai duniya
ye KHun aur pasine ki bu nahin jati
na jaane kis ke badan ka libas hai duniya
hamare halq se ek ghunT bhi nahin utri
bas ek aur hi duniya ki pyas hai duniya
mere qalam ki siyahi ka ek qatra hai
meri kitab se ek iqtibas hai duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.