kisi ka KHwab nahin ja raha hai aankhon se
kisī kā ḳhvāb nahīñ jā rahā hai āñkhoñ se
maiñ ratjage meñ huuñ kuchh pāñch saat rātoñ se
mujhe vo mujh se nazar aate the udaas udaas
maiñ baat kartā thā jañgal ke sūkhe peḌoñ se
vo shāhzādī koī taara ban chukī hai ab
maiñ jis ko māñgtā thā TūTte sitāroñ se
hunar se kaam liyā painT brush nahīñ toḌā
banā liyā tere jaisā hī koī rañgoñ se
mujhe ye Dar hai ki mil jā.egī to ro dūñgā
maiñ jis ḳhushī ko tarastā rahā huuñ barsoñ se
kisi ka KHwab nahin ja raha hai aankhon se
main ratjage mein hun kuchh panch sat raaton se
mujhe wo mujh se nazar aate the udas udas
main baat karta tha jangal ke sukhe peDon se
wo shahzadi koi tara ban chuki hai ab
main jis ko mangta tha TuTte sitaron se
hunar se kaam liya painT brush nahin toDa
bana liya tere jaisa hi koi rangon se
mujhe ye Dar hai ki mil jaegi to ro dunga
main jis KHushi ko tarasta raha hun barson se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.