kisi ka nam bhi lete nahin hain diwane
kisī kā naam bhī lete nahīñ haiñ dīvāne
jo rāzdār the vo bhī hue haiñ begāne
agarche sharh zamāne ne kī bahut ġham kī
magar jo raaz hai merā vo koī kyā jaane
samajh rahe haiñ use sab nashāt kī bāteñ
kahā sabā ne jo ġhunchoñ se koī kyā jaane
na ho sakegī mukammal kabhī hikāyat-e-dil
zamāna yuuñ to kahegā hazār afsāne
vahī haiñ asl-o-haqīqat meñ rū-kash-e-jannat
tumhārī yaad se ābād haiñ jo ġham-ḳhāne
ye kaise rind kī tauba kā hai asar 'sāqib'
sharāb-ḳhāne meñ TuuTe paḌe haiñ paimāne
kisi ka nam bhi lete nahin hain diwane
jo raazdar the wo bhi hue hain begane
agarche sharh zamane ne ki bahut gham ki
magar jo raaz hai mera wo koi kya jaane
samajh rahe hain use sab nashat ki baaten
kaha saba ne jo ghunchon se koi kya jaane
na ho sakegi mukammal kabhi hikayat-e-dil
zamana yun to kahega hazar afsane
wahi hain asl-o-haqiqat mein ru-kash-e-jannat
tumhaari yaad se aabaad hain jo gham-KHane
ye kaise rind ki tauba ka hai asar 'saqib'
sharab-KHane mein TuTe paDe hain paimane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.