kisi ka saya na aanchal hamare sath hua
kisī kā saayā na āñchal hamāre saath huā
tumhāre baad bahut chhal hamāre saath huā
hamāre saa.e se jis ko shadīd nafrat thī
vo shaḳhs aa ke mukammal hamāre saath huā
hamesha apnī mohabbat ke hāthoñ qatl hue
ye hādisa bhī musalsal hamāre saath huā
nikal na paa.e mohabbat tire hisār se ham
hamārā ishq bhī paidal hamāre saath huā
use bhī dekh liyā thā havā-e-vahshat ne
vo ik charāġh jo pāgal hamāre saath huā
dobāra tark-e-ta.alluq pe mashvara kareñge
jo pahlā ishq kisī pal hamāre saath huā
kisi ka saya na aanchal hamare sath hua
tumhaare baad bahut chhal hamare sath hua
hamare sae se jis ko shadid nafrat thi
wo shaKHs aa ke mukammal hamare sath hua
hamesha apni mohabbat ke hathon qatl hue
ye hadisa bhi musalsal hamare sath hua
nikal na pae mohabbat tere hisar se hum
hamara ishq bhi paidal hamare sath hua
use bhi dekh liya tha hawa-e-wahshat ne
wo ek charagh jo pagal hamare sath hua
dobara tark-e-talluq pe mashwara karenge
jo pahla ishq kisi pal hamare sath hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.