kisi ka unhen pas-e-ghurbat nahin hai
kisī kā unheñ pās-e-ġhurbat nahīñ hai
parā.ī musībat musībat nahīñ hai
talab sheva-e-ahl-e-himmat nahīñ hai
mirā dil kisī kī amānat nahīñ hai
kuchh aisā zamāne ne badlā hai pahlū
kisī ko kisī se mohabbat nahīñ hai
nasīboñ se miltā hai dard-e-mohabbat
ye vo chiiz hai jis kī qīmat nahīñ hai
butoñ se sitam par bhī iz.hār-e-ulfat
'rashīd' aap meñ ādmiyat nahīñ hai
kisi ka unhen pas-e-ghurbat nahin hai
parai musibat musibat nahin hai
talab shewa-e-ahl-e-himmat nahin hai
mera dil kisi ki amanat nahin hai
kuchh aisa zamane ne badla hai pahlu
kisi ko kisi se mohabbat nahin hai
nasibon se milta hai dard-e-mohabbat
ye wo chiz hai jis ki qimat nahin hai
buton se sitam par bhi izhaar-e-ulfat
'rashid' aap mein aadmiyat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.