kisi ke aankh dikhane se kuchh nahin hoga
kisī ke aañkh dikhāne se kuchh nahīñ hogā
ham ahl-e-haq haiñ Darāne se kuchh nahīñ hogā
banegī baat jabhī ham bhī ek ho jaa.eñ
ki sirf shor machāne se kuchh nahīñ hogā
maiñ āftāb huuñ sun lo diyā nahīñ koī
havāo zor lagāne se kuchh nahīñ hogā
tumheñ gunāh kī apne sazā milegī zarūr
tumhāre gangā nahāne se kuchh nahīñ hogā
amal bhī shart hai itnā zarūr yaad rahe
faqat duā.eñ karāne se kuchh nahīñ hogā
uTho muqābla hālāt kā karo 'tābish'
ki baiThe ashk bahāne se kuchh nahīñ hogā
kisi ke aankh dikhane se kuchh nahin hoga
hum ahl-e-haq hain Darane se kuchh nahin hoga
banegi baat jabhi hum bhi ek ho jaen
ki sirf shor machane se kuchh nahin hoga
main aaftab hun sun lo diya nahin koi
hawao zor lagane se kuchh nahin hoga
tumhein gunah ki apne saza milegi zarur
tumhaare ganga nahane se kuchh nahin hoga
amal bhi shart hai itna zarur yaad rahe
faqat duaen karane se kuchh nahin hoga
uTho muqabla haalat ka karo 'tabish'
ki baiThe ashk bahane se kuchh nahin hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.