kisi ke dida-e-tar ko nazar mein rakhte hain
kisī ke dīda-e-tar ko nazar meñ rakhte haiñ
safar meñ ḳhud ko magar dil ko ghar meñ rakhte haiñ
palaTnā paḌtā hai har shaam un parindoñ ko
na jaane kaun sī shai ko shajar meñ rakhte haiñ
khulī fazāoñ kī vus.at vo kaise samjheñge
jo qaid ḳhvāb ko dīvār-o-dar meñ rakhte haiñ
pukārte haiñ unheñ un ke ghar ke sannāTe
vo apne-āp ko kyuuñ rahguzar meñ rakhte haiñ
ḳhulūs rakhte haiñ lekin jhukā nahīñ karte
anā kā rañg bhī thoḌā hunar meñ rakhte haiñ
kisi ke dida-e-tar ko nazar mein rakhte hain
safar mein KHud ko magar dil ko ghar mein rakhte hain
palaTna paDta hai har sham un parindon ko
na jaane kaun si shai ko shajar mein rakhte hain
khuli fazaon ki wusat wo kaise samjhenge
jo qaid KHwab ko diwar-o-dar mein rakhte hain
pukarte hain unhen un ke ghar ke sannaTe
wo apne-ap ko kyun rahguzar mein rakhte hain
KHulus rakhte hain lekin jhuka nahin karte
ana ka rang bhi thoDa hunar mein rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.