kisi ke gham ko gale se lagae baiThe hain
kisī ke ġham ko gale se lagā.e baiThe haiñ
ham apne saare ġhamoñ ko bhulā.e baiThe haiñ
sukūn-e-dil ke liye aaj tere dīvāne
tire ḳhayāl kī duniyā sajā.e baiThe haiñ
syaah raat hai vo aa.eñ to ujālā rahe
isī ummīd pe sham.eñ jalā.e baiThe haiñ
kahāñ se laa.eñ vo tinke chuneñ to kis ke liye
jo ḳhud hī apnā nasheman jalā.e baiThe haiñ
ab un kī samt bhī ho jaa.e kaash nazar-e-karam
jo log der se mahfil meñ aa.e baiThe haiñ
kareñ to kis pe kareñ e.atibār ai 'rāhī'
har ek dost ko ham āzmā.e baiThe haiñ
kisi ke gham ko gale se lagae baiThe hain
hum apne sare ghamon ko bhulae baiThe hain
sukun-e-dil ke liye aaj tere diwane
tere KHayal ki duniya sajae baiThe hain
syah raat hai wo aaen to ujala rahe
isi ummid pe shamen jalae baiThe hain
kahan se laen wo tinke chunen to kis ke liye
jo KHud hi apna nasheman jalae baiThe hain
ab un ki samt bhi ho jae kash nazar-e-karam
jo log der se mahfil mein aae baiThe hain
karen to kis pe karen eatibar ai 'rahi'
har ek dost ko hum aazmae baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.