kisi ke gesu-e-pur-pech par dil-dar baiThe hain
kisi ke gesu-e-pur-pech par dil-dar baiThe hain
Nwab Saif Ali Sayyaf
MORE BYNwab Saif Ali Sayyaf
kisī ke gesu-e-pur-pech par dil-dār baiThe haiñ
vo ab kyā jiit sakte haiñ jo baazī haar baiThe haiñ
asīrān-e-qafas kā haal ab dekhā nahīñ jaatā
thake haiñ phaḌphaḌā kar jaan se bezār baiThe haiñ
dil-e-āshufta de deñ ab kisī ko jī meñ aatā hai
ki us kī be-ḳhudī se ho ke ham bezār baiThe haiñ
ḳhudārā ik nigāh-e-nāz hī se dekh lo ham ko
garebāñ phāḌne ko aaj ham tayyār baiThe haiñ
kahāñ baaqī rahā vahshat maiñ shaġhl-e-be-ḳhudī koī
uḌā kar dhajjiyāñ jaame kī ham bekār baiThe haiñ
kisī kī bazm meñ be-ḳhauf phir jaate haiñ ġham khāne
vo hoñge aur chhup kar jo pas-e-dīvār baiThe haiñ
yakāyak apnī ummīdoñ kī duniyā luT ga.ī saarī
nazar phirte hī un kī ham se sab bezār baiThe haiñ
tujhe saaqī hai sadma aaj phir se apnī āñkhoñ kā
diloñ ke jaam ḳhālī kar ke sab mai-ḳhvār baiThe haiñ
uTheñge ye jabhī jab ḳhud qazā aa kar uThā.egī
jo is kūche meñ zer-e-sāya-e-dīvār baiThe haiñ
hameñ parvā nahīñ saaqī zarā bhī jām-o-mīnā kī
kisī kī chashm-e-maigūñ dekh kar sarshār baiThe haiñ
bhalā kyūñkar rakhe phir un se ummīd-e-vafā koī
hasīnān-e-jahāñ jab darpai-e-āzār baiThe haiñ
shab-e-furqat kahāñ hai chain in aafat ke māroñ ko
yūñhī thāme kaleja aap ke bīmār baiThe haiñ
dil-e-mushtāq kahtā hai chalo ab faisla kar leñ
ye sunte haiñ ki vo khīñche hue talvār baiThe haiñ
kisi ke gesu-e-pur-pech par dil-dar baiThe hain
wo ab kya jit sakte hain jo bazi haar baiThe hain
asiran-e-qafas ka haal ab dekha nahin jata
thake hain phaDphaDa kar jaan se bezar baiThe hain
dil-e-ashufta de den ab kisi ko ji mein aata hai
ki us ki be-KHudi se ho ke hum bezar baiThe hain
KHudara ek nigah-e-naz hi se dekh lo hum ko
gareban phaDne ko aaj hum tayyar baiThe hain
kahan baqi raha wahshat main shaghl-e-be-KHudi koi
uDa kar dhajjiyan jame ki hum bekar baiThe hain
kisi ki bazm mein be-KHauf phir jate hain gham khane
wo honge aur chhup kar jo pas-e-diwar baiThe hain
yakayak apni ummidon ki duniya luT gai sari
nazar phirte hi un ki hum se sab bezar baiThe hain
tujhe saqi hai sadma aaj phir se apni aankhon ka
dilon ke jam KHali kar ke sab mai-KHwar baiThe hain
uThenge ye jabhi jab KHud qaza aa kar uThaegi
jo is kuche mein zer-e-saya-e-diwar baiThe hain
hamein parwa nahin saqi zara bhi jam-o-mina ki
kisi ki chashm-e-maigun dekh kar sarshaar baiThe hain
bhala kyunkar rakhe phir un se ummid-e-wafa koi
hasinan-e-jahan jab darpai-e-azar baiThe hain
shab-e-furqat kahan hai chain in aafat ke maron ko
yunhi thame kaleja aap ke bimar baiThe hain
dil-e-mushtaq kahta hai chalo ab faisla kar len
ye sunte hain ki wo khinche hue talwar baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.