kisi ke haq mein kisi ke KHilaf kah dunga
kisi ke haq mein kisi ke KHilaf kah dunga
Iqbal Ahmad Khan Arif
MORE BYIqbal Ahmad Khan Arif
kisī ke haq meñ kisī ke ḳhilāf kah dūñgā
maiñ ā.īna huuñ jo dekhūñgā saaf kah dūñgā
mirā zamīr kahāñ zor-o-zar kī suntā hai
mujhe to jis se huā iḳhtilāf kah dūñgā
har ek uzv-e-badan kah rahā hai roz-e-jazā
ḳhudā se terā har ek inhirāf kah dūñgā
uThā ke sahn meñ dīvār ghar nahīñ bāñTā
diloñ meñ Daal diyā hai shigāf kah dūñgā
qadam huuñ mujh ko uThā soch kar ki hashr ke din
kahāñ kahāñ kā kiyā hai tavāf kah dūñgā
udhar ho tum mire apne idhar taqāzā-e-haq
jo sach hai maiñ to vahī saaf saaf kah dūñgā
kisi ke haq mein kisi ke KHilaf kah dunga
main aaina hun jo dekhunga saf kah dunga
mera zamir kahan zor-o-zar ki sunta hai
mujhe to jis se hua iKHtilaf kah dunga
har ek uzw-e-badan kah raha hai roz-e-jaza
KHuda se tera har ek inhiraf kah dunga
uTha ke sahn mein diwar ghar nahin banTa
dilon mein Dal diya hai shigaf kah dunga
qadam hun mujh ko uTha soch kar ki hashr ke din
kahan kahan ka kiya hai tawaf kah dunga
udhar ho tum mere apne idhar taqaza-e-haq
jo sach hai main to wahi saf saf kah dunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.