kisi ke hijr ke sae mein aa khaDa hun main
kisī ke hijr ke saa.e meñ aa khaḌā huuñ maiñ
'ajīb dukh hai mirā chhāñv meñ jalā huuñ maiñ
abhī to saañs hai baaqī zarā bachā huuñ maiñ
vo kab talak nahīñ aa.egā dekhtā huuñ maiñ
maiñ sar pe gaThrī ġhamoñ kī uThā.e phirtā huuñ
ab ahl-e-'ilm kaheñge ki sar-phirā huuñ maiñ
bas is liye ki tirā hausla na maañd paḌe
bas is liye hī to kahtā huuñ ab nayā huuñ maiñ
bas is liye ki mujhe kah ke sochnā na paḌe
hamesha soch-samajh kar hī boltā huuñ maiñ
ab is se qabl ta'āruf maiñ apnā pesh karūñ
harīf pahle batā dete haiñ 'atā' huuñ maiñ
kisi ke hijr ke sae mein aa khaDa hun main
'ajib dukh hai mera chhanw mein jala hun main
abhi to sans hai baqi zara bacha hun main
wo kab talak nahin aaega dekhta hun main
main sar pe gaThri ghamon ki uThae phirta hun
ab ahl-e-'ilm kahenge ki sar-phira hun main
bas is liye ki tera hausla na mand paDe
bas is liye hi to kahta hun ab naya hun main
bas is liye ki mujhe kah ke sochna na paDe
hamesha soch-samajh kar hi bolta hun main
ab is se qabl ta'aruf main apna pesh karun
harif pahle bata dete hain 'ata' hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.