kisi ke hijr ki rut hai na ye malal ki hai
kisī ke hijr kī rut hai na ye malāl kī hai
hamāre jism pe taarī ghuTan visāl kī hai
sulag rahā thā kisī kī talab meñ muddat se
bhaḌak uThā huuñ to ab raushnī kamāl kī hai
bahut javāb the jis ke tumhārī āñkhoñ meñ
hamāre dil pe hukūmat usī savāl kī hai
bahut dinoñ se nayā zaḳhm mil nahīñ paayā
azīz-e-man ye chamak saarī pichhle saal kī hai
yaqīn karne lagā huuñ tirī mohabbat par
ab is ke baad jo manzil hai vo zavāl kī hai
kisi ke hijr ki rut hai na ye malal ki hai
hamare jism pe tari ghuTan visal ki hai
sulag raha tha kisi ki talab mein muddat se
bhaDak uTha hun to ab raushni kamal ki hai
bahut jawab the jis ke tumhaari aankhon mein
hamare dil pe hukumat usi sawal ki hai
bahut dinon se naya zaKHm mil nahin paya
aziz-e-man ye chamak sari pichhle sal ki hai
yaqin karne laga hun teri mohabbat par
ab is ke baad jo manzil hai wo zawal ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.