kisi ke hijr mein shab bhar udas rahna hai
kisī ke hijr meñ shab bhar udaas rahnā hai
so mujh ko sub.h talak mahv-e-yās rahnā hai
ye haal hai ki tirī diid ko tarastā huuñ
maiñ sochtā thā mujhe tere paas rahnā hai
tumhāre laakh dilāse bhī rā.egāñ hoñge
us ek shaḳhs ko tā-umr udaas rahnā hai
ye ziist tere sitam kī rahīn hai jānāñ
tire firāq ko is kī asaas rahnā hai
so bazm-e-yār meñ jā kar ġhazal sunā.eñge
nigāh-e-nāz meñ ham ko to ḳhaas rahnā hai
ye aur baat ki dariyā se dostī hai mirī
likhā huā mirī qismat meñ pyaas rahnā hai
junūn-e-ishq meñ bejā hai fikr-e-uryānī
ḳhayāl-e-yār ko merā libās rahnā hai
kisi ke hijr mein shab bhar udas rahna hai
so mujh ko subh talak mahw-e-yas rahna hai
ye haal hai ki teri did ko tarasta hun
main sochta tha mujhe tere pas rahna hai
tumhaare lakh dilase bhi raegan honge
us ek shaKHs ko ta-umr udas rahna hai
ye zist tere sitam ki rahin hai jaanan
tere firaq ko is ki asas rahna hai
so bazm-e-yar mein ja kar ghazal sunaenge
nigah-e-naz mein hum ko to KHas rahna hai
ye aur baat ki dariya se dosti hai meri
likha hua meri qismat mein pyas rahna hai
junun-e-ishq mein beja hai fikr-e-uryani
KHayal-e-yar ko mera libas rahna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.