kisi ke ho na sake aur sabhi ke KHas rahe
kisi ke ho na sake aur sabhi ke KHas rahe
Jangveer Singh 'Rakesh'
MORE BYJangveer Singh 'Rakesh'
kisī ke ho na sake aur sabhī ke ḳhaas rahe
mujh aise peḌ to jangal meñ bhī udaas rahe
falak se duur zamīnoñ pa bad-havās rahe
vo shaḳhs kyā hue jo shahr bhar kī aas rahe
ik aisā dard jise siine se lagāyā na.iiñ
ik aisī aah jo siine meñ be-libās rahe
qarīb aane pe sunte the ishq baḌhtā hai
qarīb aa.e to ham aur bhī udaas rahe
kisi ke ho na sake aur sabhi ke KHas rahe
mujh aise peD to jangal mein bhi udas rahe
falak se dur zaminon pa bad-hawas rahe
wo shaKHs kya hue jo shahr bhar ki aas rahe
ek aisa dard jise sine se lagaya nain
ek aisi aah jo sine mein be-libas rahe
qarib aane pe sunte the ishq baDhta hai
qarib aae to hum aur bhi udas rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.