kisi ke husn ki jalwagari ne mujhko luTa hai
kisī ke husn kī jalvagarī ne mujh ko luuTā hai
zamīñ ke chāñd kī raḳhshandagī ne mujh ko luuTā hai
kabhī maiñ naam le ke us ko rusvā kar nahīñ saktā
samajh lo ye ki zinda shā'irī ne mujh ko luuTā hai
maiñ us ko jism pahnā.ūñ to hogī vo sitamgar sī
safar meñ ziist ke jis āgahī ne mujh ko luuTā hai
na koī ham-safar merā na koī rāhbar merā
baḌe ārām se āvārgī ne mujh ko luuTā hai
bhaTaktā phir rahā huuñ maiñ tamannāoñ kī duniyā meñ
ġhazab hai har qadam par zindagī ne mujh ko luuTā hai
udhar tum ho ki sub.h-e-karr-o-far hai mehrbāñ tum par
idhar maiñ huuñ ki shām-e-bekasī ne mujh ko luuTā hai
ai charḳh-e-nīlgūñ sach-much koī hairat nahīñ mujh ko
farishta ban ke jo ik aadmī ne mujh ko luuTā hai
sitāro mujh se us kā tazkira kyoñ karte rahte ho
tumheñ mā'lūm hai jab chāñdnī ne mujh ko luuTā hai
lab-e-iz.hār vā kar ke paḌā hai koī zindāñ meñ
mujhe dekho ki jabr-e-ḳhāmushī ne mujh ko luuTā hai
kisī ke ġham pe ik din muskurāyā thā haqārat se
kahūñ kyā kis tarah merī ḳhushī ne mujh ko luuTā hai
maiñ ik maġhrūr dariyā thā chalo achchhā huā 'zāhid'
baḌī shā.istagī se ik nadī ne mujh ko luuTā hai
kisi ke husn ki jalwagari ne mujh ko luTa hai
zamin ke chand ki raKHshandagi ne mujh ko luTa hai
kabhi main nam le ke us ko ruswa kar nahin sakta
samajh lo ye ki zinda sha'iri ne mujh ko luTa hai
main us ko jism pahnaun to hogi wo sitamgar si
safar mein zist ke jis aagahi ne mujh ko luTa hai
na koi ham-safar mera na koi rahbar mera
baDe aaram se aawargi ne mujh ko luTa hai
bhaTakta phir raha hun main tamannaon ki duniya mein
ghazab hai har qadam par zindagi ne mujh ko luTa hai
udhar tum ho ki subh-e-karr-o-far hai mehrban tum par
idhar main hun ki sham-e-bekasi ne mujh ko luTa hai
ai charKH-e-nilgun sach-much koi hairat nahin mujh ko
farishta ban ke jo ek aadmi ne mujh ko luTa hai
sitaro mujh se us ka tazkira kyon karte rahte ho
tumhein ma'lum hai jab chandni ne mujh ko luTa hai
lab-e-izhaar wa kar ke paDa hai koi zindan mein
mujhe dekho ki jabr-e-KHamushi ne mujh ko luTa hai
kisi ke gham pe ek din muskuraya tha haqarat se
kahun kya kis tarah meri KHushi ne mujh ko luTa hai
main ek maghrur dariya tha chalo achchha hua 'zahid'
baDi shaistagi se ek nadi ne mujh ko luTa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.