kisi ke husn-o-ada par jo tabsira kije
kisī ke husn-o-adā par jo tabsira kiije
falak-asās irādoñ se ibtidā kiije
koī to had ho muqarrar sitamgarī kī tirī
agarche sabr jo kiije bhī tā-kujā kiije
qarār dil kā nihāñ hai isī meñ jānānāñ
hamārī samt bhī chashm-e-sitam zarā kiije
asīr-e-panja-e-mizhgāñ haiñ jaane kab se ham
hamāre dard jigar kā mu'ālaja kiije
mujhe ḳhabar hai mirī dastaras nahīñ us tak
magar use hī ye dil chāhtā hai kyā kiije
ye TuuT kar jo bikharne kī chaah rakhtā hai
kabhī to puurī tamannā-e-ā.ina kiije
nayā nahīñ hai diloñ kā ye TūTnā 'ārif'
maiñ kah rahā huuñ zarā sā to hausla kiije
kisi ke husn-o-ada par jo tabsira kije
falak-asas iradon se ibtida kije
koi to had ho muqarrar sitamgari ki teri
agarche sabr jo kije bhi ta-kuja kije
qarar dil ka nihan hai isi mein jaananan
hamari samt bhi chashm-e-sitam zara kije
asir-e-panja-e-mizhgan hain jaane kab se hum
hamare dard jigar ka mu'alaja kije
mujhe KHabar hai meri dastaras nahin us tak
magar use hi ye dil chahta hai kya kije
ye TuT kar jo bikharne ki chah rakhta hai
kabhi to puri tamanna-e-aina kije
naya nahin hai dilon ka ye TuTna 'arif'
main kah raha hun zara sa to hausla kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.