kisi ke ishq mein kya kya na main KHarab raha
kisī ke ishq meñ kyā kyā na maiñ ḳharāb rahā
balā meñ jaan rahī jab talak shabāb rahā
ajab rasā hai muqaddar shab-e-visāl us kā
jo terī zulf ke saa.e meñ mahv-e-ḳhvāb rahā
kisī ne saath mirā rāh-e-ishq meñ na diyā
bas ek dard magar mere ham-rikāb rahā
ishāra hai yahī rindoñ se chashm-e-sāqī kā
jo mai-kade se phirā umr bhar ḳharāb rahā
naqāb Daal ke aa.e vo merī turbat par
fanā ke baad bhī mujh se vahī hijāb rahā
guzar ga.ī shab-e-vasl aur baat tak bhī na kī
idhar ḳhayāl-e-adab aur udhar hijāb rahā
fusūn-e-nargis-e-mastāna se tire saaqī
mudām mai se bharā sāġhar-e-sharāb rahā
kisī kī zulf-e-girah-gīr thī magar barham
tamām raat mire dil meñ pech-o-tāb rahā
ḳhayāl-e-zulf meñ uljhā kiyā 'valī' tā-zīst
balā ke pech meñ vo ḳhānumāñ-ḳharāb rahā
kisi ke ishq mein kya kya na main KHarab raha
bala mein jaan rahi jab talak shabab raha
ajab rasa hai muqaddar shab-e-visal us ka
jo teri zulf ke sae mein mahw-e-KHwab raha
kisi ne sath mera rah-e-ishq mein na diya
bas ek dard magar mere ham-rikab raha
ishaara hai yahi rindon se chashm-e-saqi ka
jo mai-kade se phira umr bhar KHarab raha
naqab Dal ke aae wo meri turbat par
fana ke baad bhi mujh se wahi hijab raha
guzar gai shab-e-wasl aur baat tak bhi na ki
idhar KHayal-e-adab aur udhar hijab raha
fusun-e-nargis-e-mastana se tere saqi
mudam mai se bhara saghar-e-sharab raha
kisi ki zulf-e-girah-gir thi magar barham
tamam raat mere dil mein pech-o-tab raha
KHayal-e-zulf mein uljha kiya 'wali' ta-zist
bala ke pech mein wo KHanuman-KHarab raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.